Hello friends! Iss post me mai bataunga English to Hindi translation kaise Karen. Isse pahle maine bataya tha ki English se Hindi type kaise Karen. India me logo ko English ki bhaut acchi jankari nahi hai.  Iss liye hindi bloggers success ho rahe hain. But aaj agar apko English nahi aa rahi hai to aapke liye bhaut se raste band hai. Kyu ki English world famous hai. Agar aap kuch nahi jante sirf English jate hain to aap kisi bhi country me conversion kar sakte hain.
But aaj technology itni agey badh gyi hai ki koi bhi kaam impossible nahi hai. Chahey aap ko kisi aur language me baat karna ho to aap hindi bolenge aur apka device usse uss language me translate kar dega.

To ham baat kar rahe the English se Hindi translation karne ki. Google translate aisa tools hai jiski help se aap bhaut si language ko translate kar sakte hain. Agar apko English se Hindi translate karna ho ya hindi se English translate karna.hai to dono hi possible hai

English to Hindi Translation kaise Karen:


Google translate tool se English se hindi translate karne ke liye step-
Sabse pahle Google translate site pe jaye.
Ab yaha apko 2 section milenge. Agar yaha apko Hindi se English translation karna hai to pahle section me Click kar ke language me hindi select Karen. Aur second section me language me English select Karen.
Ab aap hindi wale section me hindi me type Karen “mera name Amit hai” . Ab next section me me dekhenge ki automatic “my name is Amit” translate ho jaega.
english-to-hindi-translate-sentence-translation
Ab agar aap kisi se English me baat karni hai aur apko English nahi ati to aap pahle hindi me wo sentence yaha English me translation kar ke usse English me baat kar sakte hain. Issi trah se agar apko hindi se duniya ke kisi bhi language me translate karni ho to aap next section me language me wo language select Karen aur translate Karen. Chaey wo Japanese, Spanish ya chinese google translate me 100 se adhik language me translate kar sakte hain.
Agar apko kisi bhi English words ki meaning janni hai to iske liye dictionary ki jarurat nahi hai. Aap English languge select Karen aut next me hindi, aur phir English me wo word type kare”nest” Aur uski meaning dusre section me aa jaegi घोसला. Aur itna hi nahi niche aap dekhenge ki uss world se related noun verb bhi show karegi. Aur usme ek words ke bhaut se meaning bhi honge. Itna aap kisi dictionary me nahi jaan sakte.
Ab agar aap ye janna chahte hain ki घोसला ko chinese me kya kahte hain to aap next section me chinese select kare to wo automati chinese me translate ho jaegi. But ab apko chinese word ko kya bolte hain ye kaie janege to aap wahi speaker icon pe click karenge to chinese me nest ko kya bolte hain wo pata chal jaega.

Google translate Disadvantages :

Google translate bhaut accha tools hai but iske kuch disadvantages bhi hain. jaise kabhi kabhi aap bhaut bade sentence translation karenge to usse wo translate to karega but wo thodi thik se samajh nahi ayegi. phir bhi aap agar thodi si bhi mind rakhte ho to aap usse bhi samajh jaenge.
Is post ko share jarur karen…